Bas yunhi baat khatam ho jayegi

Kahin kisi roz bas yunhi…, chala chal raahi, tu chala chal.

Mujhe bas chalna hai; waqt aur kismat ke dhaar mey bas behna hai …Musafir hoon yaaron…mujhe bas chalte jaana hai…

Bas waqt ka dariya hai; chhoti si umariya hai, pal bhar ki dagaria hai…doob key, tair ke jaana hai.

Ye jad aur ye taney na kabhi gehrai chhodengi na parchhai, na koi parcham gaadegi na kisi oonchai par pahunchengi…par mujhe bas behtey jaana hai, chalte jaana hai jab tak ke saans ki dor dee gayi hai. Bas uss dehleez tak jahan tak dhadkan ki anumati dee gayi hai.

Phir uske baad hum sab ye rang manch chhod chalenge, ae saathi.

Koi farak nahi padta inn ped darakhton ko ki kisney kitne parcham gaadey aur kisney kisko pachhad diya aur kisne kis kiley aur pahad pe fateh kari, kaun kitney pani mey thaa ya kaun dariya-dil nek-dil thaa…

Mujhey bas chalte jaana hai, behtey jaana hai, ye jaantey huey ki “kal aur ayenge nagmo ki behtar kaliyan chunn ne waaley, mujhsey behtar kehne waaley, tum se behtar sunn ne waaley. Masroof zamana kyun mere liye phir waqt apna barbad karey.”



Comments

Popular posts from this blog

That Day in 1993...

Some journeys are meant to be taken alone

A plastic surgery that I wish I had